Monday, 18 September 2017

Band Darwaza......

Bahut Kuch kehta Ye band Darwaza, Na jane kitni baatein gum h isme….
Kisi ki kilkariyan, to kisi ki dant,
Kisi ki sharatein, to kisi ka ladakpan….
Dadi ma ki loriyan, to Nani ki khaniyan….
Papa ka vo kam se lautne ka intzar karna,
To maa ka pyaar se khana khilana…..
Bahut kuch kehta h ye band Darwaza…………

Kabhi khilti thi dhoop bhi isme, aaj kisi ki raah niharti hai iski aankhein….
Kabhi khanakti thi choodiyan, payal isme, aaj us khanak ka intzaar karti hai iski saasien….
Kabhi rangoli banti thi iske pas, aaj mayus sa khada h ye,
Bahut kuch kehta hai ye band darwaza………

Pehle rangon se bhara tha ye,
Koi khushi ka rang, koi dukh ka,
Koi ladakpan ka, to koi apnepan ka……
Ehsason se bhara tha ye ,
Bahut kuch kehta hai ye band darwaza……..

Aaj ise dekhti hu to lagta hai sab kho sa gaya h iska,
Suna ho gaya h, koi roshni nhi, koi kilkari nhi, ab koi pas b nhi,
Phir bhi khada h ye apni jagah pe, apno ka intzar karta hua,
Is ummeed me kabhi to yad aayegi apne bachpan ki , Shayad koi laut aaye yahi dekhne….

Bahut kuch kehta hai ye band darwaza………