Sunday, 24 January 2016

Dastoor......

Zindagi ne thukraya bahut hume, Shayad gunahgaar hum hi the,
Jo saza dena chahe zindagi , de dena hume manzoor hai.....
Zindagi me talkhiyan kuch is kadar hawi hui,
dekh loon har ek chehra kis kadar be-noor hai....
Ab bharosa dafan hai matlab ke kabristaan me,
is vajah se sadgi ab aadmi se door hai.....
Dhokha khakar muskurana seekh lo yaaron yahan,
Ye galat pehle tha, lekin aaj kal to dastoor hai.....
Haalatein hum sab ki ab kuch is kadar se ho gai hain,
jaise panchi pinjre me lachar aur majboor hai....
Jisne kabhi kisi ko samjha hi nhi kabhi,
shakhs vo insaniyat ke naam pe nasoor hai....
Wada karke tod dena, ye admi ki pehchan hai,
is baat ka bura na manna , ye to aaj kal mashoor hai......

Sunday, 3 January 2016

Aaj sham se........

Aaj sham se tere aane ki aahat si hui hai......
aaj sham se tere Deedar ki khwaish si hui hai.........
kis kadar se tere liye man machal utha hai, k
aaj sham se tujhe paane ki hasrat si hui hai..........

Tu door to hai mujh se par tujhse mera vajood hai, k
aaj shaam se us vajood ko pane ki tamanna si hui hai.......
Kuch hai jo mujhe baichain kiye hue hai, k
aaj shaam se teri baatein sochte hue raahat si hui hai.......

kuch hai abhi hamare beech, k aaj bhi tera intzaar hai,

k aaj bhi tere lautne ka intzaar kar rahi hai aankhein kai sham ke baad....
tu kabhi to aayega shayad laut k mere paas, k
aaj shaam se tere lautne ki ummed bhad si gai hai......