Monday, 17 October 2016

Kyun....

kis kis tarah se mujhko rusva na kiya gaya,
gairon ka nam mere lahoo se likha gaya....

kyun aaj uska zikra mujhe khush na kar saka,
kyun aaj uska nam mera dil dukha gaya....

ab to lagta hai vo mujhse door rahe to achcha hai,
kyun aaj uska deedar mujhe peer de gaya....

kyun aaj phir vahi tadap ka ehsas hua mujhe,
kyun aaj mera daman phir ashkon se bheeg gaya...

kyun aaj uske aane se aankh nam hui hai,
kyun aaj uska ehsas mujhe baichen kar gaya....

Aaj phir uski khamoshi mere dil me toofan kar gai,
kyun aaj phir vahi kashmakash ka samandar ghar kar gaya.....

yun hi baton baton me jab uski baatein dil ko sukoon deti thi kabhi,
kyun aaj vahi zikra dil me zakham kar gaya...

jab chalte the sath humram bankar kabhi,
kyun aaj vahi rah mere liye nasoor ban gaya....

itni majboor to shayad main kabhi na thi pehle, phir
kyun aaj vo shakhs mujhe majboor kar gaya....

Thursday, 5 May 2016

Mujh me tu.....

Tere pehlu me aakar kab khud ko kho baithe, 
kab hue tujhme mashgool,  yaad nhi....

Teri khushi me khud ki khushi ko mehsoos karne lage,
kab hue khud se door,  yaad nhi....

Tere chehre ki hasi, teri shaitaniyan,
kab hue tujhme fanna,  yaad nhi....
Teri baatein, teri kahaniyan sab such lagti thi,
kab zindagi bemani lagne lagi,  yaad nhi.... 


Khud ko kho ke tujhe pana ki koshish thi meri,
hui kya khata,  yaad nhi....

Tere intzaar me kai ghadiyan bita di humne,
kab hue khud se bewafa, yaad nhi.....

Sunday, 24 January 2016

Dastoor......

Zindagi ne thukraya bahut hume, Shayad gunahgaar hum hi the,
Jo saza dena chahe zindagi , de dena hume manzoor hai.....
Zindagi me talkhiyan kuch is kadar hawi hui,
dekh loon har ek chehra kis kadar be-noor hai....
Ab bharosa dafan hai matlab ke kabristaan me,
is vajah se sadgi ab aadmi se door hai.....
Dhokha khakar muskurana seekh lo yaaron yahan,
Ye galat pehle tha, lekin aaj kal to dastoor hai.....
Haalatein hum sab ki ab kuch is kadar se ho gai hain,
jaise panchi pinjre me lachar aur majboor hai....
Jisne kabhi kisi ko samjha hi nhi kabhi,
shakhs vo insaniyat ke naam pe nasoor hai....
Wada karke tod dena, ye admi ki pehchan hai,
is baat ka bura na manna , ye to aaj kal mashoor hai......

Sunday, 3 January 2016

Aaj sham se........

Aaj sham se tere aane ki aahat si hui hai......
aaj sham se tere Deedar ki khwaish si hui hai.........
kis kadar se tere liye man machal utha hai, k
aaj sham se tujhe paane ki hasrat si hui hai..........

Tu door to hai mujh se par tujhse mera vajood hai, k
aaj shaam se us vajood ko pane ki tamanna si hui hai.......
Kuch hai jo mujhe baichain kiye hue hai, k
aaj shaam se teri baatein sochte hue raahat si hui hai.......

kuch hai abhi hamare beech, k aaj bhi tera intzaar hai,

k aaj bhi tere lautne ka intzaar kar rahi hai aankhein kai sham ke baad....
tu kabhi to aayega shayad laut k mere paas, k
aaj shaam se tere lautne ki ummed bhad si gai hai......