Wednesday, 30 July 2014

Waqt nhi...................

Har khushi hai longon ke daman me, par
 ek hasi ke liye hi waqt nhi.........

 Din -Raat daudti duniya me,
zindagi ke liye hi waqt nhi.........

Maa ki lori ka ehsaas to hai, par 
maa ko maa kehne ka hi waqt nhi......

Sare rishton ko to hum maar chuke hain, ab
unhe dafnane ka hi waqt nhi.......

Sare naam yaad to hain, par
dosti ke liye hi waqt nhi............

Gairon ki kya baat karein, jab
apno ke liye hi waqt nhi.........

Aankhon me hai neend bhari, par
sone ke liye hi waqt nhi........

Dil hai gumon se bhara hua, par
rone ke liye hi waqt nhi.......

Pason ki daud me aise daude ki,
thakne ka hi waqt nhi.........

Paraye ehsaason ki kya baat karien, jab 
apne sapnon ke liye hi waqt nhi.......

Tu hi bta ae-zindagi,
is zindagi ka kya hoga,
har pal marne walon ko, 
ek pal jeene ka hi waqt nhi............

Thursday, 26 June 2014

Baki tha..................

yun hi nhi the hum uske saath par,
 uske aur mere darmiyaan kuch to baki tha......

uski aankhon se dekhe the sapne kai apni zindagi ke, par
ab un aankhon me sirf meelon ka fasla baki tha....

Dil roya to bahut uske door jane se, par
ab us dil me sirf uska dard baki tha......

uske bina jeena mumkin na tha mere liye, par
ab in saanson ko uske lautne ka intzaar baki tha....

Kyun har din har raat uske dard me gamgeen hun,
phir bhi uske diye is dard pa ab bhi gumaan baki tha.....

Tuesday, 6 May 2014

Haal- ae- dil...................

Kuch ankahe alfaaz ab tak seene me daba kar rakhe hain,
kuch sapne ab tak aankhon me daba kar rakhe hain..............

kahin kisi ki rusawaai ka kaaran na ban jaayein hum,
isliye kuch aansoon ab tak khamoshi me daba kar rakhe hain........

shayad is dard k sath jeene ki aadat ho gai hai ab hume,
isliye is dard ko ab tak seene me daba kar rakhe hain........

kahin vo humse door na ho jaayein, humara haal jankar,
isliye apni raah ko apne makaam se pehle rok kar rakhe hain.........

Thursday, 13 March 2014

Mere Humrah............

Saath chalne ki mere yaar ko aadat hi kahan thi,
vo mere dil me tha, ab kisi ki jaroorat hi kahan thi.......

main dhoop - dhoop thi, vo chavn- chavn tha,
milne ki usko furasat hi kahan thi......

kehte hain vo humse, ki hum parchai hain tumhari, par
jab gum ka andhera tha, to vo parchai hi kahan thi.....

kabhi to shayad vo mudkar bula lega mujhe,
is baat ki ab mere dil ko ummeed hi kahan thi.......

Thursday, 9 January 2014

Gum................

Kabhi chup, kabhi gum,
Kabhi hum , kabhi tum.......
Jahan tum vahin chup,
jahan hum vahin gum.......
Chalo saath bus chup,
chalo saath bus gum....
Vo chupchaap hum - tum,
vo sham-oh-sehar gum....
Ye hai kaun hamko jo awaaz deta,
kaho to rahein chup, rahein hum jara gum......
tumhaari nazar ki nawazish hai ye bhi,
ki nashtar chubhote haule- haule jara tum......
vo kisse purane, vo kahani purani,
humari- tumhari rawaani puraani......
na dhundhe vo khat hum,
 na dhundhon hume tum.....
Lakeerien humari ye kehti hain humse,
ladoge kahan tak humse bhala tum......
Lauta do saari hume tum vo goonjein humari,
ab apni hi awaaz, ab humse hai, ab gum.......