Saturday, 28 December 2013

Tum ho......

Ek khwab dekha tha maine, zindgi meri tum ho,
jab jagi to maloom hua k mere jeene ki saja tum ho.....
Is ummeed bhare dil ko bahut rulaya hai tumne,
vo saaz the tum jisne mere nagmon ko rulaya hai,
tum hi jara socho kya iske siva tum ho......
Tum pyaasi nigahon ki kya pyaas bujhaoge,
Vo lamha hi alag hoga jab saamne aaoge,
in bejaan baharon ki fiza tum ho.....
Jis haal me hum hain, ab hume us haal me rehne do,
sirf ashkon ki bhasha se, ye bayan mujhe karne do,
jo rooh ko jhulsa de vo garm hawa tum ho......
Ye dil kitna bada paagal tha jo tumhe chahta raha,
ise maloom na tha ke, jo poori zindagi ko barbaad karde vo ek lamha tum ho.....

Wednesday, 18 December 2013

Aisa Lagta Hai..............

Jane aisi kitni Baatein hain jo adhuri si lagti hain,
jane aisi kitni raatein hain jo kahin khoi si lagti hain.....

Kahin koi to hai shayad maayus sa,
jane aisi kitni tamannayein adhuri si lagti hain......

Is uljhi hui bejaan si zindagi me, kitni door nikal aai hu chalte- chalte,
jaane aisi kitni raahein khamosh si lagti hain......

Kahin to shayad zindagi ki jaruraton ko poora karne me khud ko kho chuki hoon,
jane aisi kitni hasratein ankahi si lagti hain....

Anjaane raston pe chalte - chalte koi to hojo saath chale , umr bhar humraah bankar,
aisi kitni talaashein nakaam si lagti hain.....

Friday, 6 December 2013

Vo Shqkhs......

Door hote- hote sari awaaz kahin gum ho gai,
sochne ke liye bus sirf yaadein reh gai....

Jo shqkhs kabhi rehta tha hamesha dil ke paas,
aaj sirf uski yaad paas reh gai....

Kisko apna dard - ae - dil bayaan karien,
ab to dil me sirf  uski sada reh gai....

aaj itni majboor hun ki use laut ke bula bhi na sakun,
ab to sirf uski aas baki reh gai....



Monday, 2 December 2013

Tujh se......

Kyun tujhe naa jane bhi, tujh pe aitbaar karti hu,
kyun tujhe bin pehchane tujhse ek anjaani dor se bandhi rehti hu......
jo kabhi kisi par bhi naa kar paai main,
phir kyun tujh par itna bharosa rakhti hu.....
Har pal, har lamha bina soche tujhe nhi reh paati,
kyun dil se har waqt dua me tujhe mangti hu......
Jo tune mujhse kabhi kaha nhi,
Kyun vo ankahe labz tujhse sunna chahti hu.....
kyun anjaani si umeed laga rakhi hai tujhse,
tu poori karega use, kyun aisi ummeed rakhti hu.....
tu koi nhi hai mera, mujhe maloom hai,
phir bhi kyun tujhe apna sa manne lagi hu....
Darti hu tujhse kehne se vo baat, jo kabhi keh nhi paai,
phir bhi kyun kahin na kahin main bhi hoon tere man me, bharosa sa rakhti hu.....




Thursday, 28 November 2013

Guzarish.....

Kiski talaash hai jo khatm nhi hoti,
Ye kiski aas hai jo kam nhi hoti....
Jaane anjane me jo chut gaya hai mujhse,
kyun uski justjoo kam nhi hoti.......
Anjaani tamannayein jo dabi hui thi seene me kahin,
Kyun ab vo hasratein dabi nhi rehti....
Kuch lamhon ko apne me kaid karne ki khwahishein hain,
phir kyun vo khwahishein poori nhi hoti.....
Jo door ho gaya hai mujhse hamesha ke liye,
phir kyun use pane ki koshishein kam nhi hoti.....
Ae khuda jab bhi socha, har baar use hi socha,
phir kyun usme fanna hone ki hazat kam nhi hoti.......


Monday, 25 November 2013

Zid...........

Uljhi hui Duniya ko paane ki zid kar baithi hu,
jo apna nhi hai use paane ki zid kar baithi hu.......
Duniya kya hai nhi janti, par 
meri duniya tu h, tujhe pane ki zid kar baithi hu......
aksar log talaash karte hai kisi khas insaan ki,
par main kisi aam insaan ko paane ki zid kar baithi hu.....
Is samandar me tufaan to aate hai bht, maalum hai mujhe, par
iske kinaare pe ghar banane ki zid kar baithi hu.......
Yahan chahne wale, apnane wale bahut hain magar,
jo meri khamoshi me chipe dard ko pehchane use paane ki zid kar baithi hu...
Is matlabi farosh duniya me samjhane wale bahut hain magar,
jo meri khamosh nigahon ko samjhe use paane ki zid kar baithi hu....








Wednesday, 20 November 2013

Kuch Pta Nhi.........

Kis anjaane dard se guzarrahi hu, kuch pta nhi,
jane kis jhakham ka dard hai, kuch pta nhi......
Kisi ke jaane ka itna dard kyun hota hai, 
jab vo apna tha hi nhi, to gum hai kyun, kuch pta nhi....
Kabhi - kabhi yun hi kisi se karte hue baatein,
achanak kasak si uthti hai zehan me, hota hai kyun aisa, kuch pta nhi....
kyun khud hi sawalon ki kashmakash me uljhi si hu,
kab is uljhan se niklungi , kuch pta nhi......

Thursday, 31 October 2013

Ab tak baki hai........

Aaj phir hokar majboor tere paas chali aai hu,
shayad koi ummeed, ab tak baki hai.....

apni sanson me teri mehak mehsoos karti hu,
shayad tere hone ka ehsaas, ab tak baaki hai....

Har waqt , har jagah teri kami poori karne ki koshish karti hu,
shayad tere jaane ka dard , ab tak baki hai.....

Saanjh hote hi jab sab apne ghar laut-te hain,main raah me ruk jati hu,
shayad tere vapas aane ka intzaar, ab tak baki hai.....

Monday, 21 October 2013

Yaad aya.........

bahut dino ke baad aaj dil dhadka,
vo teri yaad thi, ab yaad aya......

 aaj mera sambhalna bahut mushkil tha,
aaj tu kis musibat me mujhe, yaad aya.....

hum bhi mehfil me baithkar apna hal-e-dil sunate lekin,
jab vo mehfil se rukhsat hue, tab yaad aya......

din bahut mushkil se guzra aaj mera,
phir vahi tera kiya hua vada, yaad aya....

baithkar sochti rahi pehron pehar tujhko.
hum chup chupkar roye tu jab yaad aya......

Thursday, 17 October 2013

Kahin vo tum to nhi..........

Koi to hai meri yaadon me, palkon me aansu liye,
kisi ki bheeni khushboo ab bhi meri sanson me baki hai, kahin vo tum to nhi......

Kisko talashti hain meri nigahein, sathi lagta hai janmon se jo,
raahon me vo shakhs gum hai, kahin vo tum to nhi.......

Koi bheega sa nagma, koi gazal hai vo,
jise har waqt gungunati hu main, kahin vo tum to nhi....

Hoton se hole se koi nai sargam banne lagi hai,
gane lagi hain ab vo chahtein meri, kahin vo tum to nhi......

Raaton me, badlon me jiski tasveer banati hu andekhi,
jise har waqt dekhne ki chahat rehti hai, kahin vo tum to nhi......

Jiske sath har pal bitane ko jee chahta hai,
jisse kai ankahee batein karne ko jee chahta hai, kahin vo tum to nhi....

Jiski bahon me khokar sukoon mile mujhe,
jiski sanson me khona chahti hun , kahin vo tum to nhi.....

Jiske paas har waqt rehne ki tamanna rehti hai,
jiske liye hoton pe naa aur dil main haan haan rehti hai, kahin vo tum hi to nhi.....


Monday, 14 October 2013

Hasrat.........

Main soch rahi thi badlon ki udaano tak,
ye dil hai ki ja pahuncha kis- kis ke thikano tak......
Tute hue khwabon ki ek lambi kahaani hai,
sheese ki haveli se patthar ke makano tak.....
Dil ek aisi adalat hai jo ruh ko parakhti hai,
mehdood nhi rakhti vo sirf bayano tak.......
Jab koi nhi aata kyun aas bichate ho,
is dil ke dariche se aankhon ke machano tak.....
Dil aam nhi karta ehsaas ki khushboo ko,
bekar hi laye hum chahat ko jubaanon tak.....
Har waqt fizaaon me mehsoos karoge tum,
main khusboo hun rooh ki, mehkungi jamano tak......

Thursday, 3 October 2013

Khwaab...

Kahin mera bhi ghar hota,
koi khwabon ka humsafar hota....
taankti chand me bhi panno par,
paas mere agar baaton ka hunar hota....
baat krte agar salike se,
apni baaton ka bhi asar hota.....
swarg hoti agar yahi dunia,
toh kiske kadmon me kiska sir hota....
mujhko chu kar pighal jata, kabhi
kaash wo mom ka jigar hota...
ek din toh wo mujhse jarur rukhsad hoga,
wo chahe mujhse jitni muhabbat karta....
kaise pa skta tha muje koi bhediya,
wo jo gar meri hifajat karta.....
usse na rehti muje koi khwaaish,
bas wo mere pyar ki izzat karta......

Tuesday, 1 October 2013

Kitna Ajeeb Lagta hai...............

Kitna ajeeb lagta hai,
kisi ki kahmoshi me ,
khud ke sawalon ka jawaab dhundhna..............

                                         Kitna ajeeb lagta hai,
                                         apne sukoon ke liye ,
                                         Kisi ka rahon me intzaar karna...................

Kitna ajeeb lagta hai,
kisi ko khushi dene ke liye,
khud ko dard dena.................

                                         Kitna ajeeb lagta hai,
                                         kisi aur ko sochte hue,
                                         poori raat chand ko dekhna.....................

Kitna ajeeb lagta hai,
akele me khud se baat karte hue,
khud ko aaine me dekhna.........................

                                        Kitna ajeeb lagta hai,
                                        kisi aur ke dhoke pe,
                                        Khud ko saza dena............................

kitna ajeeb lagta hai ,

kisi ko apna banane ki chah me,
khud ko sabse door kar lena................

                                       Kitna ajeeb lagta hai,

                                       apne dil me kisi gair k liye,
                                       jagah banana..................

                                         



Friday, 27 September 2013

Sochti hu kabhi...........

sochti hu kabhi aisa bhi to ho, ke tum mujhe yaad karo,
sochti hu kabhi aisa bhi to ho, ke tum mujhe pukaro,
sochti hu kabhi aisa bhi to ho, yuh hi raah me chalte- chalte tum mujhe  milo......

sochti hu kabhi aisa bhi to ho, k tum kaho aur main sunu,

sochti hu kabhi aisa bhi to k, dariya ka sahil ho, pure chandni raat ka noor ho,
sochti hu kabhi aisa bhi ho, aur tum aao.........

sochti hu kabhi aisa bhi to ho, jab narm thandi hawayein aaye,

tumhari khushboo le aayein ,mere ghar le aayein.....
sochti hu kabhi aisa bhi to ho, sooni mehfil ho, koi paas na ho,aur tum aao.....

sochti hu kabhi aisa bhi to ho, ye badal toot k barse, 

tumhara man bhi mujhse milne ko tarse,
tanhaai ho aur dil ho, bunde ho barsaat ho aur tum aao........



Monday, 23 September 2013

Tum ho ya nhi............

Kabhi- kabhi sochte , kabhi khud se karte hue baatein,
kabhi khud se ladte- jhagadte, sochti hu k,
tum ho ya nhi.......

kabhi raaton ko jaagte, kabhi chand ko takte,
apne hi khayalon me gum hokar, sharma ke, sochti hu, k
tum ho ya nhi.....

anjaani tasveerein banate hue, apni kalpanaao ki,
alag- alag shqkhs me tumhari pehchaan khojkar, sochti hu k,
tum ho ya nhi.......

kabhi panghat pe jaakar, kabhi kheton ki paghdandi me,
kabhi chat k pehloo me chupkar tum dekhoge, sochti hu k,
tum ho yaa nhi.....

jab saheliyaan karti hain baatein, chedti hain mujhe,
kiske khayalon me gum rehti ho, tab sochti hu, k
tum ho ya nhi.........

Thursday, 22 August 2013

Yaad Aaungi...............

jab bhi mehfil me baithoge to yaad aaungi,
jab bhi us mod se guzroge to yaad aaungi......
bhool jana mujhe asan nhi hai itna,
bhulana chahoge jab bhi to yaad aaungi......
ek din kahin panghat pe mile the hum dono,
abke jab us raah se guzroge to yaad aaungi...
yaad karoge jab kabhi bhi udaas hoge,
jab kabhi yaaron ke beech baithoge to yaad aaungi.....
har ek chehre pe nakab hai yahan,
jab bhi kisi ko parkhoge to yaad aaungi.......
chahne wale to bahut mil jaayenge tumhe,
par jab kisi apne ko pukaroge to yaad aaungi.....



Tuesday, 20 August 2013

Us mod......

Usi mod se phir shuru karna chahti hu apni zindagi,
Jahan har lamha, har shai hassen thi, aur hum tum the ajnabee ……
Jin khawabon ko lekar chali thi main, jo kabhi jannat jaise hua karte the,
Par aaj vo sukhe hue patton ki tarah zarzar ho gaye hain,
Kahan reh gai hai ab vo us tarah ki dilkashi…………..
Kabhi raha karte the hum khayalon ki duniya me,
Par aaj ye aalam hai, k rehte h sawalon ki bheed me,
Kahan reh gai hai ab vo fursat ki ab ghadi………..
Shayad ye waqt humse koi khel khel gaya,
Rishta hamare bafa ka kisi aur hi rishte me badal gaya,
In ashkon bhari chadar se to behtar vo dhoop hi……..
Usi mod se phir shuru karna chahti hu apni zindagi,
Jahan har lamha, har shai hassen thi, aur hum tum the ajnabee ……

Tuesday, 13 August 2013

Sukun..........


aaj phir tujhe yaad karke sukun mehsoos hua,
teri yadon me khoye rehne me sukun mehsoos hua...



kya h ye main nhi janti,pata h tum kabhi na miloge mujhe,
phr bhi dil ko tera intzaar karne me sukun mehssos hua...



aaj mehfil me kisi ne baat ched di tmhari baton hi baton me,
to tumhare bare me kahi un baton me sukun mehsoos hua....



tum mujhe door bht ho janti hu,hm kabhi sath na honge,

par aaj tum khush ho,tumhari khushi me mujhe sukun mehsoos hua..


Monday, 12 August 2013

Kitni raaton ke baad.......................

Aaj phir tere hone ka ehsaas hua,
aaj ye pal phir aaya hai kitni raaton ke baad..........
us shaqhs ka intzaar karte hue din beete kitne,
aaj vo lamha phir aaya hai kitni raaton ke baad..........
phir tanhaai chane lagi hai mujh par is kadar,
ke vo manzar phir aaya hai kitni raaton ke baad.....
phir vahi dooriyon ka ehsaas hone laga hai mujhe,
aaj phir vahi majboori aai hai kitni raaton ke baad......
phir vahi bheege pal bheege yaadon ka samna hua mujhe,
vahi tanha raat aai hai, kitni raaton ke baad.......
bhula nhi paa rahi hu us waqt us manzar ko jisme maine sari duniya jee li thi,
vo waqt phir naa aa paya hai, kitni raaton ke baad........
har waqt har sehar sirf teri hi kami khalti hai mujhe,
ab to meri saansein bhi mujhe saza lagne lagi hain, vo kami aaj phir aai hai kitni raaton ke baad...
ye zindagi tere bina jeena nhi hai mujhe, roz sajda karti hu,
dua me mangti thi tujhe, aaj phir vahi dua aai hai zehan me kitni raaton ke baad...........




Monday, 5 August 2013

Tum.........

Kafile badle, log badle tumhe chahna na badla mera,
kitne mausam badlte chale gaye tumhe chahna na badla mera.......

itne dino ki khamoshi tumhari ab sahi nhi jati mujhse, par
tumhari is kamoshi ko chahna na badla mera..........

mausam badle , rut badli , tum bhi badal gaye, par
us badle hue shqhs ko chahna na badla mera.......

ab un galiyon me koi pukarta nhi mujhe, par
un galiyon se guzarna ab bhi na badla mera......

Kaun Hoon Main.............

Kabhi kabhi sochti hu ki aakhir kya hoon main ?
kabhi khud se anjaan to kabhi khud hi me uljhi hoon main.....
apni hi baaton aur apne hi haalaton se bebas si ho jati hoon,
aisa lagta hai kabhi khud ko samajh hi nhi pai hoon main...........
har taraf dard ka saagar, aur bebasi ghere hai mujhe,
aur doosron ko mashwarah deti hu main.......
kyun apne baare me nhi soch pati, kyun kisi ko kuch nhi batati,
kya kisi anjaane dar se darti hu main......
aakhir aisi kaun si baat hai jo mujhe kachothi rehti hai,
jis se hamesha kashmakash me rehti hu main......
na jaane aise kitne hi sawaal hain man me,
jinka hal hamesha khojti rehti hu main.......
phir bhi ek aakhri ummeed rehti hai hamesha rehti hai man me,
ki koi to mujhe batayega, ki aakhir kaun hoon main.............

Dastoor..................

Zindagi ne thukraya bahut hame, shayad gunehgaar hum hi the,
jo saza dena chahe zindagi, de dena hume manzoor hai....
Zindagi me talkhiyan kuch is kadar havi hui,
dekh lu har ek chehra, kis kadar benoor hai.............
ab bharosa dafan hai matlab k kabristaan me,
is vajah se saadgi ab aadmi se door hai........
dhoka khakar muskurana seekh lo yaaron yahan,
ye galat pehle tha lekin aaj kal to dastoor hai........
haalatein hum sab ki kuch is kadar se ho gai hain,
jaise panchi pinjre me laachar aur mazboor hai.........
jisne kisi ko samjha hi nhi kabhi,
shaqhs vo insaaniyat ke naam pe naasoor hai.......
vada karke tod dena, ye aadmi ki pehchaan hai,
is baat ka bura na manna, ye to aaj kal mashoor hai.....

Saturday, 3 August 2013

Zindagi ki hakeekat...............

Zindagi kya hai, janjaoge
reit pe laa ke machliyaan rakh do.........
phool kis ke liye sajaoge,
mez per sookhi pattiyan rakh do...........
betiyaan baad me byahoge,
pehle girvi haveliyan rakh do.............
main zindgi ki hakeekat likh rahi hu,
kaat kar meri ungliyaan rakh do.......
dekhte dekhte zindagi yu door chali gai,
ki meri maut se pehle mera kafan rakh do.........
humne jo bhi kiya, uska kuch bhi hansil nhi,
ab saare rishton ko shunya kar do.............
zindagi ab jeene ki umeed nhi,
adhron par ab koi thoda zehar rakh do..........
jaa rahe h rishton ka maatam mana kar, aapke is jahan se,
ab to sab ek baar alvidaa keh do............

Aye khuda..............

Aye khuda reit k sehra ko samandar kar de,
ya chalakti hui aankhon ko bhi pathar kar de.........
tujhko dekha nhi mehsoos kiya h maine,
aa kisi din mere ehsaas ko zinda kar de............
aur kuch bhi mujhe darkaar nhi h, lekin
meri chadar mere pairon ke barabar kar de............

Dard...............

Is dard se guzre jamana ho gaya, phir bhi
lagta h jaise phir kissa anjaana ho gaya...........
log samajhte h bahut sangdil mujhe, par
kisi ko kya khabar ki mujhse sab baigana ho gaya.......
kaise is dard ko bayan karun kisi se,
jab apna hi mujhse juda ho gaya.......
ab to har shaqs me aks h uska,
lagta h mera har armaan khud me fanaa ho gaya............
ab lagta h jaise har apna gair h,
aur vo ek gair apna ho gaya............

Friday, 2 August 2013

Phir...........

phir se aaj baat hui baaton  baaton me,
phir se aaj vahi tamanaayein uthi mere jazbaton me.........

kyun aaj bhi tu zindaa h mujh me kahin na kahin,
phir se vahi khwaab dekhe tere aaj maine  raaton me...........

jitna bhulana chahu utna hi tu yaad aaye,
phir se vahi ek hook si uthi aaj teri yaadon me..........

chahti hu phir se ek baar tu mujhe mile,
phir se vahi baat ho un haseen vadiyon me..............