Tuesday, 11 August 2020

kabhi yun bhi aa..........

 

Abhi bhi kuch bikhre panne, mere takiye ke neeche milte hai tumhare………
Aaj bhi intzaar karti hu un khaton ka, jo tum likha karte the,
Vo khat bankar hi sahi, kabhi yun bhi aa…………
 
Abhi bhi teri Khushboo bikhri hui hai, bistar ki salvaton me kahin………
Aaj bhi maine saja kar rakhi hai, jo tum chod gaye the mere pas
Hawa banker hi sahi,  kabhi yun bhi aa……………
 
Abhi bhi tere haaton ki chuan hai, mere balon me kahin,
Aaj bhi mehsoos karti hu, tera mere balon ko sehlana,
Barsaat bankar hi sahi,  kabhi yun bhi aa…………..

Aaj bhi us mod pe tera intzaar rehta hai mujhe, jahan kabhi hum shamein bitaya karte the....
ek arsaa sa bita diya maine, us mod pe
Sham bankar hi sahi, Kabhi yun bhi aa.........

Sunday, 1 September 2019

Aagazz


Dhalta Sooraj bhi har din ubarne ka hausla rakhta hai......
Bevajah insaan phir tu kyun rota hai........

Safar pe nikle ho to manzil tak pahunchoge jaroor...
Tu kyun khud ko itna hara aur mayoos rakhta hai.....

Har din ek nai subah, ek naye safar ki talaash kar.......
kyun apne hi gum me khud ko dubota hai......

Jo beet gaya vo gujra hua kal tha,
tu kyun khud ko bediyon me jakadta hai........

Aa, chal, uth, phir ek nai shuruaat kar.....
kadam bhada apne, manzil ka agaz kar......

Tuesday, 15 January 2019

Kashmakash

Har ek chehre pe gumaan uska tha,
Basa na koi Dil me, ye Khali makaan uska tha.....

Tamam dukh mere Dil se mit Gaye,
Na mit saka, vo naam uska tha....

Is kadar vo mere Dil me samata Chala Gaya,
Kuch Raha na baki bas, ehsaas uska tha.....

Kuch kahun usse ya nahi, kashmakash me hu,
Vo milega mujhe ya nahi, ye faisla uska tha.....


Monday, 19 November 2018

Ehsaas.................

kehte-kehte achanak ruk si jati hu,
pta nhi kyun par kuch thithak si jati hu....
tumko hamesha apne sath paati hu, phir bhi
pta nhi kyun tumko khone se ghabra si jati hu.....

aaj bhi tere hone ka ehsas h, mujh me kahin baki,
phr phi tere na hone k khayal se toot si jati hu....
janti hu tu kabhi sath nhi tha mere,
phir bhi is khayal me hamesha jeena chahti hu....


Friday, 27 April 2018

Waqt


Ek waqt purana apna bhi.....
Ek saath purana bhi.....

Mudke dekhu to apna sa, aage dekhu to sapna bhi....
Jo tahar jaun to ghar jaisa, jo chal jaun to manzil jaisa....

Kabhi-kabhi yadon ke jaisa , kabhi kabhi vaadon ke jaisa.....
Kabhi jo aaye lahron jaisa, kabhi jo dube to sagar jaisa....
Jo doob gaya to moti jaisa, jo ubar gaya to sahil jaisa....

Ek waqt purana apna bhi....
Ek saath purana apna bhi.....

Thursday, 1 February 2018

Sochta Hun.....

Jo kabhi sooraj ki roshni me jhank pate,
To tum jan paate, main kya sochta hun...

Vo aawaaz jo tumko bhi bhed paati,

To tum jan paate , main kya sochta hun....

Kabhi tumhari jid ke parde jo aankhon se sarakta,

To tum  apni simit khidkiyon ke aage bhi dekh paate ...

Aankhon se aadaton ki jo palkein kabhi hatate, 

To tum jaan paate , main kya sochta hun....

Monday, 18 September 2017

Band Darwaza......

Bahut Kuch kehta Ye band Darwaza, Na jane kitni baatein gum h isme….
Kisi ki kilkariyan, to kisi ki dant,
Kisi ki sharatein, to kisi ka ladakpan….
Dadi ma ki loriyan, to Nani ki khaniyan….
Papa ka vo kam se lautne ka intzar karna,
To maa ka pyaar se khana khilana…..
Bahut kuch kehta h ye band Darwaza…………

Kabhi khilti thi dhoop bhi isme, aaj kisi ki raah niharti hai iski aankhein….
Kabhi khanakti thi choodiyan, payal isme, aaj us khanak ka intzaar karti hai iski saasien….
Kabhi rangoli banti thi iske pas, aaj mayus sa khada h ye,
Bahut kuch kehta hai ye band darwaza………

Pehle rangon se bhara tha ye,
Koi khushi ka rang, koi dukh ka,
Koi ladakpan ka, to koi apnepan ka……
Ehsason se bhara tha ye ,
Bahut kuch kehta hai ye band darwaza……..

Aaj ise dekhti hu to lagta hai sab kho sa gaya h iska,
Suna ho gaya h, koi roshni nhi, koi kilkari nhi, ab koi pas b nhi,
Phir bhi khada h ye apni jagah pe, apno ka intzar karta hua,
Is ummeed me kabhi to yad aayegi apne bachpan ki , Shayad koi laut aaye yahi dekhne….

Bahut kuch kehta hai ye band darwaza………